The Day Is A National Holiday In Pakistan And Is Celebrated All Over The Country With Flag Raising Ceremonies, Tributes To The National Heroes And Fireworks Taking Place In The Capital, Islamabad. President And Prime Minister Delivers Speeches And In The Speech, The Leaders Highlight The Achievements Of The Government, Goals Set For The Future And In The Words Of The Father Of The Nation, Quaid-I-Azam, Bring "Unity, Faith And Discipline" To Its People. Day Starts With Flag Raising Ceremonies In The Capital City Islamabad And So In All Major Cities In Pakistan. March Parade And Exchange Of Guard’s Ceremonies Takes Place On The Quaid-I-Azam’s Mausoleum.
Bohat Se Qoum Ki Zindagi Mein Aesy Din Bhi Aate Hein Jinhei Tarekh Humesha Yad Rakhti Hai. 14 August 1947 Pakistan Ki Azadi Ka Din, Ye Din Bhi Aik Aesa Din Hai Jise Dunya Humesha Yad Rakhe Gi. Es Din Hidustan Mein Rehne Wale Muslims Ne Mutalba Kiya Tha Ke Jin Elaqon Mein Muslim Aksaryat Zyada Hai Unhein Alag Kar Ke Aik Khud-Mukhtar Riyasat Banaya Jae Aur 14 August 1947 Ka Din He Woh Din Tha Jab Es Tasawar Aur Azm Ko Haqiqat Ki Shakal Mili Aur Dunya Ke Naqshe Per Pakistan Ka Naam Ubhra. Ye Bohat Bara Karnama Tha Jo Har Lehaz Se Na-Mukmkin Dekhai Deta Tha Lekin Bar-E-Sagher Mein Basne Wale Muslim Qoum Ke Azam Aur Himmat Ne Es Khab Ko Haqiqat Mein Badal Dala. 14 August He Woh Din Tha Jis Mein Pakistani Shakhsiyat Ko Apni Aik Shanakht Mili Aur Es Din Ki Badolat Aqwam-E-Alam Ne Pakistan Ki Azaad Hasiyat Ko Tasleem Kiya Aur Pakistan Ke Awaam Har Saal 14 August Ko Jashn E Azaadi (Youm E Azaadi) Pore Josh O Kharosh Se Manate Hein.
Pakistan Ki Azaadi Ki Tarekh Bari Sabar Azma, Jad-O-Jehad Aur Qurbaniyon Per Mushtamil Hai. Hindustan Ke Musalmano (Muslims) Ne Pakistan Qaem Karne Ke Liye Na-Qabil-E-Faramosh Qurbaniya Di. Pakistan Hasil Karne Ke Liye Bar-E-Sagher Ke Muslims No Jo Qurbaniya Di Hein Es Ki Missal Dunya Ki Tarekh Mein Bohat Kam Milta Hai. Humare Azadi Ka Aik Aik Safha Khon Se Rangeen Hai Kyoun Ke Azadi Khon Mangti Hai Aur Sabar Aur Istaqamat Ko Apna Kar Tamam Zulm Ko Qabol Karna Parta Hai. Yahi Sorat-E-Hal 14 August 1947 Ke Din Dekhne Mein Aai. Khoon Mein Lat Pat Lashein Liye Dheron Qafle Es Nai Mumlikat Pakistan Mein Dakhil Ho Rahe Thein In Qaflon Mein Mojod Log Aik Aese Jazbe Se Sarshar Thein Jo Sare Ghamon Aur Taklifon Ko Bardasht Kar Ki Salahiyat Peda Kar Raha Tha. In Josh Aur Lagan Thin Woh Ghulami Ki Zanjeeron Ko Tor Chuke Thein Aur Azaad Riyasat Mein Azaad Zindagi Guzarne Ke Khahishmand Thein Aur Allah Ne In Ki Sun Lit Hi. Youn Pakistan Wajod Mein Aaya.